Wednesday, March 28, 2007

Imam Hassan Askery

Photo Sharing and Video Hosting at Photobucket

8th of Rabi-al-Awwal Martyrdom anniversary of Imam Hasan Al Askari(a.s.) - the 11th Holy Imam.
On this occasion of sorrow and grief in the household of the Prophet Mohammad(sawaw), I wish to extend my condolences to the Prophet Mohammad(sawaw), Imam-e-Zamana(a.s.), the Ahl-e-Bait(a.s.) and to all Mo'mineen and Mo'minaat.

----------------------------------------------------------------------------------

this moharram, I feel like I wasn't able to do azadari like I wanted to *sigh*
This marsiya totally describes how I'm feeling right now


Ae soogwaaroon aaho bukaa ka maqaam hai
Ab rukhsat Hussain Alaihis Salaam hai
Mehmaan tumhara jaata hai jo tashna kaam hai
Sar peeto khaak urao ke matam tamaam hai

Ab wo sadaa e Haye Hussaina na aayegi
Ghar mein tumharey Fatima Zehra na aayegi

Ae shah E Karbala teri khidmat na hosaki
Ae kushatey jafa teri khidmat na hosaki
Ae Jaane Fatima teri khidmat na hosaki
Mehmaan E Nainawa teri khidmat na hosaki

Jee bhar ke rosake na yeh gardish naseeb hai
Majlis yeh aakhri hai Hussain e Ghareeb ki

Abbas E Bawafa, Ali Akbar na jaiey
jhoole ko khaali chor ke Asghar na jaiey
Le kar baraat Qasim e bepar na jaiey
Weeran makaan hota hai sarwar na jaiye

Aai sada na ro azadar ayengey
Phir agle saal apney bhare ghar ko laengey

Bechain Fatima hai na aansoon bahao tum
Mein jaa raha hoon rokey na mujh ko rulao tum
Zehmat na ho to meri ziyarat ko aao tum
Turbat pe aakey ashkon ki chadar charhao tum

Mehmaan jo Karbala mein mere paas ayengey
Un sab ki peshwaari ko Abbas aayengey

Tum khush naseeb ho tumhein yeah martaba mila
Zehra bhi tum mein beth ke roti hai aik jaan
Kehti hai mere bache pe karte hai yeah bukaa
mujhse na hoga in ka kabhi shikriya ada

Ihsaan na taba hashr bhulayegi Fatima
Jannat mein tumse pehle na jayegi Fatima

Ae Tashna kaam o bekas o nakaam Alwida'
Ae mubtilae hasrat o Alaam Alwida'
Ae bekafan Ali ke gul andaam Alwida'
Masbooh e Taegh e shimr bad anjaam Alwida'

Mazloomiat pe aap ki jaan apni khoengey
Jab tak hai zinda Aap ke matam mein roengey

Ae shaahe Karbala e Moalla Salaam lo
Ham bekasoon ke wali o Maula salaam lo
Aaqa Salaam lo Shahe Waala salaam lo
Ae Fatima ke chaand hamara Salaam lo

Rukhsat yeh aakhri hai dil afgaar aaye hai
Maula Salaam lo yeh azadaar aaye hain

WSalam
-sk00n =^.^=

3 comments:

Anonymous said...

Thanks for the comment. :) Lol I hardly ever write in my diary anymore- I really should though because they're awesome. I have about 10 diaries from when I was a child and reading them always makes me smile. Take care. <3

mOi said...

wow, but then again some things just can't be explained with words right such as a strong desire

Floo said...

Yeah you're right. totally.